Friday, September 4, 2009

Wait is over...

From laila majnu to ‘prem and suman’(refer maine pyar kiya) to ‘Jai and Meera’(refer Love aaj kal) u see how the on screen interpretation of love stories have changed. Actually it reflects something which is actually happening in our surround. What a swing in love stories…Kabootar yes wahi udne wala dakiya there was a time when this symbol of piece had played a great roll in some immortal love stories and our film industry has greatly acknowledged this fact. U must not have forgotten the …kabotar ja ja but u see evolution and up rise in technology had made these pity fellow unemployed. It’s the 3 g time man it's super fast generation where you can send your thought to someone before it actually appear in your own mind…and all this come in less than 10 paisa…kabootar to mahnaga pad hi jayega and upper se yeh menka Gandhi aapka jeena haram kar degi so alag. But surge in technology has paralyzed our senses in such a way that today’s love birds talk hell lot on phone but they have nothing to talk actually…raat raat bhar chalu hai sayad Kashmir mudaa suljhate honge…so inki isi aadat ko bajate hue pesh hai chand lines pasand aaye and if u feel in sync with me…do acknowledge your comments are really valuable for me. Please press few keys i have pressed more to compose this...

Love aaj kal aur phone

Kahe pravakta prem aur, telephone ka mail

Jaise jalti jwala aur kiroseen ka tel

Kiroseen ka tel, aag khoob bhadkaaye

Bhayo catalyst phone, prem agan na bhujhne paaye

Bhai vikraal alp chingari, paay tel ko sang

Chhota dabba phone ka, kar sake brahmchar bhang

Hua brahmchar bhang, mitra ban premsukh

Takneeki ke jor ne, kar diye door dukh

Kahe kavivar ud gayo daur kabootran ka

Ab to samay aa gaya bhaiya, chumbkeey tarangan ka

Ranjha vichlit man ki dasha, ab jaane heer so fast

Jaise teevra fatafat ho jaye, loose motion ko blast

Doorbhas ka yantra, badi rahat pahunchaye

Premi yugal ke Madhya, fasla rah na paye

Laila majnu tadap gaye, na jane kitne saavan barse

Saal saal bechain rahe, chaukhta dekhan ko tarse

Waqt bura tha majnu ka, bhala kaise sandesh pahuchata

Patra baandh chhoda jisko, woh swyam, kabootrani ke peeche ud jata

Chamtkaar vigyan ka, ab aiso samay hai aao,

Saal maheene chaubish ghante, dil ki baat sunao

20-20 so prem hua hai, fata fat premi badalte jao

Mobile ke abhav me, becharo majnu to ek hi patay pao

Raat raat bhar jaga tha ranjha, gaa gaa virha ke geet

Ab to saari raat batiyaye laila, sunaye caller tune sangeet

Kitni roti khayi tumne, piya hai kitana pani

Kya kya kiya samooche din bhar, puri kaho kahani

Raat raat bhar khach khach pach pach, wahi purani baate

Stereotype so conversation, phir bhi nahi aghate

Premshudha me gote lete aaj ke forward poot,

Vodafone airtel ban baithe, prem ke modern doot,

Prem ke modern doot servicen aisi dete

Casenova ban jate romiyo, gar jinda hote

yadi hai apni girl friend, to ussse batlao

warna juli, riya, christene ko phone lagao

aisa nahi ki prem, matra tarngo par udta hai

paper khol ke dekho, prem classified me bhi milta hai,

Aap hi nahi akele jo prem ras chahe

Page no 27 par juli riya christene bhi, bharti hai aahe

9 digit ke code se, khulta prem nagar ka dwar

Aur prem ki keemat hai, prati minute rupaiya char

Laila majnu swarg me ,pahuche kaam dev ke dwar

Bole humse kyoun kiya, yeh second class vyahaar,

Second class vyahaar, samoocha jeevan tarse

Tumhari kripa ke phool, kabhi na hum par barse

Khatam ho gaya sara jeevan, bhayi na dhang se baat

Aaj dhara pe dhiru bhai, baantey prem Parsad

Bant rahe parsad, phata phat phone milao

10 paise prati minute me saari raat batiyao

Kya tha humra dosh jo itna humko tadpaya

Kyoun na humre jeet ji, tele phone banaya

Ati marmik vyath ko sun kar, kaam dev bhi dol pade

Kaafi der lagi bhakto par aakhir bhagwan bol pade

Kyoun rote ho vyarth ,putra tum to ek mishal ho

Nibhaya jisne prem chahe jo bhi haal ho

Yeh mobile phone ki peedhi, bas baato ki sher hai

Meri prem ki duniya me nahi kahi andher hai

Prem raas ki sundarta, bas baato se nahi badhti hai

Shabdo ka yeh khel nahi, yeh to ek kasauti hai

Yeh to ek kasouti hai, jis par ye khare utar na payenge

Sachhe premi ke naam se to bas laila majnu hi jane janenge, bas laila majnu hi jane janenge

-copyright

Sanjeev shukla

Monday, August 31, 2009

Next to come...

Friends my next composition is as intresting and funny as it's name. It's a satire on how the love has changed over time and role of telephone in this revolutionary change. It's titled

"Love aaj Kal aur mobile phone"

I am going to post it soon. wait for few days.

Aaj ka vidyarthi..

Hi friends as you know this is a fast changing word. Today everything is changing and so is our student fraternity. Once there was a time when acquiring knowledge was considered to be an ascetic practice. There used to be students whose solo aim was to achieve cognizance. Secluded from the all the entrapments of the materialistic world, living a holy life in his Gurukul, willing to get true treasure of gyanam, keeping a small “choti or chundai” wearing simple cloths with wooden footwear, this used to be the demeanour of a student….but today Gurukuls have been replaced by Wi-Fi enabled sprawling college campus with all the lure (yes you got it right) to divert students attention from adhyanam. Earlier student used to get up early and after finishing there early day rituals they used to hook into study… today our Sid wakes up late take a bath in superfluous amount of deodorants, bunks the classes and hooks up after pooja (neha priya anjali and so on) …chundai or chutiya is still there on scalp but now its more of a fashion statement than a symbol of ascetic practice and it got a new name of ponytail. You will find few Rock star few Politician few Brats Few lover buys in them but you wouldn’t see a student in them(It’s been exaggerated here. there are still a few meritorious students but sorry… either they are uncle chhap or they don’t do any thing other than mugging ) It’s a YO-MAAN generation..Dude attitude…we call it generation Y with character drooping down like there ultra low waste jeans.

…So friends here I present you my view on how the ‘vidyarthi samuday’ has been changed over time. Read it and if you like it do drop your comments. It will help me gauge my progress as a poet and will encourage me to produce some more entertaining stuff……so here we go


Modern vidyarthi

Padhna likhana bhaad me chhodo, filmi gana gao…

Jab tak hai papa ka paisa, tab tak mauj udao…


Kya karna hai jyada padh ke, hume prem patra to likhna aata hai

Kyoun soche hum apne kal ki, jab ghar me dhero paisa aata hai


Baap hamare bade dayalu, humse kuchh nahi kahte hai

To kyoun sun le hum kisi aur ki, kya hum kisi se darte hai…


Hum karte hai apne man ki, hum apne man ke swami hai

Naam karenge is duniya me, kartoot hamari naami hai…


Naya jamana nai sadi, hum bhi naye navele hai

Har pal dhoone sangi sathi, hum to bahut akele hai…


Bade baal aur kaan me baali, yahi aaj ka fashion hai

Kya antar ladki ladke me, yahi to new generation hai…


Naitik siksha sadachaar to bahut purani baate hai…

Matra bhasha ko maro goli, gana tak English me gate hai


Pita se papa, papa se daddy, daddy ko dad bulate hai

Mano jeete ji unko, marne ka aihsaas dilate hai


Aaj kare so kaal kar, yahi hamara naara hai

Kya jaldi hai humko bhaiya, jab sara waqt hamara hai


Cinema haal hamara mandir, nit din niyam se jaate hai

Devi devo ki leela ka, sajeev chitran dekh kea ate hai…


Grantho ki baate hai neeras, humko who nahi bhate hai..

DDLJ aur mohabatte ke, sandesh bahut pasand aate hai


Kahat pravakta ,sun bhai saadho, aisa kalyug aaya hai…

Saraswati ki veena feeki, michal Jackson ne inhe nachaya hai…


Gira character inka aisa, jaise girta gagan se tara

Aadarsho ka path jo bancha, to patak patak ke mara


Nayan matakka param dheaya hai, vidyalay me jake

Puchhe Kisne kitne kile hai jeete, das das degree pake…


Kabira kahe guru ka uncha, govind se sthaan

Par mile na inko aaj dhara pe, dhele bhar samman


Dhele bhar samman, sada jevan bhar tadpe

Kuch ki khatir hui hai, chelo ke thappad se


Dronacharya swarg se dekhe, yeh ghor samsya vyapak

Eklavya ka badla hai ye, bhog rahe adhyapak..


Are vidya ki arthi nikal de, yeh aise vidyarthi hai

Seena thok ke har dum bole, yeh modern vidyarthi hai….yeh modern vidyarthi ha

n Copyright

n Sanjeev Shukla

Sunday, August 30, 2009

Friends...





In black and white it is ka-kari ka-kari pavan kumar...then je-baat dubey ji and tiwari ji...and then it is shailendra singh senger jila jalaun sorry jila jhansi...next is
Akhilesh and verma in background...and in last one gaurav jain ..panwar bhai ...pandey and vivek verma...


Saturday, August 29, 2009

Pics of batch mates and seniors...



Extreme left is all our seniors just before their 'kick out' day ..you can say it there farewell day. In the middle keshav and anubhav sir giving the final blessing and in the last its my bhokali and daringbaaj batchmates ...sitting on the knees in the extreme left is akhilesh "pukki", then madhvendra"president saab" ,khullar"lagan fame" then from left it is anand lambu, akhilesh "budhha" , sachin pawar "mosi poder" then pavan kumar"ka-kari", then it is viraz nagar,abhishek a small portion of sandeep"neta" "sara sahibabad hamara hai..."then in blue t shirt is our mota senger from jila jalaun in red t it is arvind pande"***d"...trying to lay is manif bamfal"hapach hapch macho macho" and kshitiz"kuchchu hatela"...what a bunch of guys they are they can rock any part of the world

few more...

Note- I am not the original owner of this photograph. I have not taken permission from any of the person shown in this pic, before posting it on my blog. If any of the person shown in this pic has objection on this he can intimate me and i'll remove the photograph with immediate effect.

few photographs from the memory lane...





A tribute to my seniors and my college

Meri yeh rachna samarpit hai mere un pyare senioro ko jinhone college lfe koi sahi mayno me paribhashit kiya aur jindgi ke sunhare dino ko ek kabhi na bhoole wal safar bana diya. Aaj bhi un dino yaad karke man kilkore bharta hai. un lamho ke madhur anubhav me man kho jata hai dil karata hai phir wahi hostel ho phir wahi college ho wahi classroom wahi lectures chahe ek din ke liye hi sahi ...i wish. Apne senioro se seekhe hue aur apne un college ke dino ke anubhavyo ka samavesh hai meri yeh kavita. Umeed hai aap logo ko pasand aayegi aur asha karta hoon aap log meri haushla afjaahi jaroor karenge vishestah woh saare log jo kabhi kisi na kisi ke senior rahe hai.



-------------------------------------------------------------------------

Senior’s ki dagar pe, juniors dikhao chal ke

college hai tumhara, kha jao isko tal ke,


Apni hi apni karna, na tum kisi se darna,

locha agar badhe to, peechhe se hum to hai na

Panga koi kare to, rakh do use masal ke,

College hai tumhara, kha jao isko tal ke


Koi agar chadhe to, tum uske upper chadhana

Chahe koi bana ho, na tum kisi se darana

Rakh doge ek din tum, management hi badal ke

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

‘Fine’ agar lage to, kabhi tum na usko bharna

Chahe pade hi kyoun na, college se nikalna

Mange manao apni, ghanghor strike kar ke

College hai tumhara kha jao isko tal ke


Jitney bhi maal dekho, har ek set kar lo

Koi villain bane to, tum usse fight kar lo

Jane na paye koi, tere haath se nikal ke

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

Na koi lecture jao, na koi notes banao

‘Internals’ ko maro goli, canteen me waqt bitao

Semester to paar hoga, ‘Himani’ prakashan padh ke,

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

Hamne kiya jo ab tak, tum aage usko karna

Na tum kisi se darna, aur chaude ho ke chalna

Tum soch lo abhi se, neta tum hi ho kal ke

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

--copyright

Sanjeev shukla

29 Aug.2009

My first poem

hello friends here i am presenting you my first poem and hope you will enjoy it. All the feedbacks will be highly appreciated.

meri neend churanewali, mai teri neend haram karunga
yaa tu mujhse shadi kar la,varna thujhko mai badnaam karunga
charcha hogi teri meri har nukkad chaorhon pe
jeena mushkil ho jaega udati hui afvahon se
aate jate log kasenge,dekh dekh tujhko tana
namumkin ho jaega phir, kahin tera aana jana
mammi papa ,chacha chachi sabhi raat din koshenge
kya hoga is namurad ka ,har waqt yahi sab sochenge
jaag udhege dar dar ke too aadhi aadhi raaton me
chehra mera dikh jayega, jab jab tujhko khaabo me
chand sitare phool aur kaliyna,tujhko kuchh na bhayege
aesi halat ho jayegi, jab yaad hamari ayegi
devdas mujhe karne wali, khush na tu rah payegi
thukra ke mujhko ek din tu, paro sa pachhtayegi
tod canection sare mujhse,kahin teri ab, katiya na dal payegi
har khambe ke neeche mujhko , sada khada tu payegi
bewafai teri mai ek pal,aur na ab bardast karunga
ya tu majhse shadi kar le , varna tujhko mai badnaam karunga
yaad aati mujhko ab wo, beeti hui saari baate
tere chakkar me khai hain, jaane kitno se laate
bap tumahra har din mujhko raste me hadkata tha
naa milne ki dhamki dekar , gundo se pitwata tha
jaane kitne ghav diye hai,mujhko tere bhai ne
hawalaat ki sair kari thee,maine isi julai me
bhool gayi tu wo sare din,jab ham tum ghooma karte the
roj nai picture aur phir , hotal me khaya karte the
pachhtata hoon aaj sochkar, apni pahle ki galti
tere chakkar me phans apni,sab jebe khaale kar dee
jaane kitna maal udaya, maine tere nakhroon pe
haalat yeh hai , aaj khaa raha thokar dar dar sadkon pe
loot ke mujhko itne din tak, tu aaj dikhate hai dhenga
kasham khuda ki tera aashik, tujhko aise naa jane dega
apna ke to dekh mujhe mai , jeevan "tere naam" karunga
ya tu mujhse shadi kar le, varna tujhko mai badnaam karunga

-- copyright
sanjeev shukla