From laila majnu to ‘prem and suman’(refer
Kahe pravakta prem aur, telephone ka mail
Jaise jalti jwala aur kiroseen ka tel
Kiroseen ka tel, aag khoob bhadkaaye
Bhayo catalyst phone, prem agan na bhujhne paaye
Bhai vikraal alp chingari, paay tel ko sang
Chhota dabba phone ka, kar sake brahmchar bhang
Hua brahmchar bhang, mitra ban premsukh
Takneeki ke jor ne, kar diye door dukh
Kahe kavivar ud gayo daur kabootran ka
Ab to samay aa
Ranjha vichlit man ki dasha, ab jaane heer so fast
Jaise teevra fatafat ho jaye, loose motion ko blast
Doorbhas ka yantra, badi rahat pahunchaye
Premi yugal ke Madhya, fasla rah na paye
Laila majnu tadap gaye, na jane kitne saavan barse
Saal saal bechain rahe, chaukhta dekhan ko tarse
Waqt bura tha majnu ka, bhala kaise sandesh pahuchata
Patra baandh chhoda jisko, woh swyam, kabootrani ke peeche ud jata
Chamtkaar vigyan ka, ab aiso samay hai aao,
Saal maheene chaubish ghante, dil ki baat sunao
20-20 so prem hua hai, fata fat premi badalte jao
Mobile ke abhav me, becharo majnu to ek hi patay pao
Raat raat bhar jaga tha ranjha, gaa gaa virha ke geet
Ab to saari raat batiyaye laila, sunaye caller tune sangeet
Kitni roti khayi tumne, piya hai kitana pani
Kya kya kiya samooche din bhar, puri kaho kahani
Raat raat bhar khach khach pach pach, wahi purani baate
Stereotype so conversation, phir bhi nahi aghate
Premshudha me gote lete aaj ke forward poot,
Vodafone airtel ban baithe, prem ke modern doot,
Prem ke modern doot servicen aisi dete
Casenova ban jate romiyo, gar jinda hote
yadi hai apni girl friend, to ussse batlao
warna juli, riya, christene ko phone lagao
aisa nahi ki prem, matra tarngo par udta hai
paper khol ke dekho, prem classified me bhi milta hai,
Aap hi nahi akele jo prem ras chahe
Page no 27 par juli riya christene bhi, bharti hai aahe
9 digit ke code se, khulta prem nagar ka dwar
Aur prem ki keemat hai, prati minute rupaiya char
Laila majnu swarg me ,pahuche kaam dev ke dwar
Bole humse kyoun kiya, yeh second class vyahaar,
Second class vyahaar, samoocha jeevan tarse
Tumhari kripa ke phool, kabhi na hum par barse
Khatam ho
Aaj dhara pe dhiru bhai, baantey prem Parsad
Bant rahe parsad, phata phat phone milao
10 paise prati minute me saari raat batiyao
Kya tha humra dosh jo itna humko tadpaya
Kyoun na humre jeet ji, tele phone banaya
Ati marmik vyath ko sun kar, kaam dev bhi dol pade
Kaafi der lagi bhakto par aakhir bhagwan bol pade
Kyoun rote ho vyarth ,putra tum to ek mishal ho
Nibhaya jisne prem chahe jo bhi haal ho
Yeh mobile phone ki peedhi, bas baato ki sher hai
Meri prem ki duniya me nahi kahi andher hai
Prem raas ki sundarta, bas baato se nahi badhti hai
Shabdo ka yeh khel nahi, yeh to ek kasauti hai
Yeh to ek kasouti hai, jis par ye khare utar na payenge
Sachhe premi ke naam se to bas laila majnu hi jane janenge, bas laila majnu hi jane janenge
-copyright
Sanjeev shukla