college hai tumhara, kha jao isko tal ke,
Apni hi apni karna, na tum kisi se darna,
locha agar badhe to, peechhe se hum to hai na
Panga koi kare to, rakh do use masal ke,
College hai tumhara, kha jao isko tal ke
Koi agar chadhe to, tum uske upper chadhana
Chahe koi bana ho, na tum kisi se darana
Rakh doge ek din tum, management hi badal ke
College hai tumhara, kha jao isko tal ke
‘Fine’ agar lage to, kabhi tum na usko bharna
Chahe pade hi kyoun na, college se nikalna
Mange manao apni, ghanghor strike kar ke
College hai tumhara kha jao isko tal ke
Koi villain bane to, tum usse fight kar lo
Jane na paye koi, tere haath se nikal ke
College hai tumhara, kha jao isko tal ke
Na koi lecture jao, na koi notes banao
‘Internals’ ko maro goli, canteen me waqt bitao
Semester to paar hoga, ‘Himani’ prakashan padh ke,
College hai tumhara, kha jao isko tal ke
Hamne kiya jo ab tak, tum aage usko karna
Na tum kisi se darna, aur chaude ho ke chalna
Tum soch lo abhi se, neta tum hi ho kal ke
College hai tumhara, kha jao isko tal ke
--copyright
Sanjeev shukla
29 Aug.2009
Sir ji Great, kya nayi cheej nikali hai maja aa gaya, ab lag rha hai pravakta sir aas paas hi hai.....
ReplyDeleteIts REALLY WONDERFUL
Thank you Prashant tum logo ki dua hai pravakta ka soya kavitav phir jag raha hai...ab se almost every month ek nai rachna padhne ko milegi...aur bahut jald in poems ka ek collection market me hoga...i need all the encouragement and best wishes from you people.
ReplyDeletehahaha...awesome kavita bhai....keep it up..
ReplyDelete