Saturday, August 29, 2009

A tribute to my seniors and my college

Meri yeh rachna samarpit hai mere un pyare senioro ko jinhone college lfe koi sahi mayno me paribhashit kiya aur jindgi ke sunhare dino ko ek kabhi na bhoole wal safar bana diya. Aaj bhi un dino yaad karke man kilkore bharta hai. un lamho ke madhur anubhav me man kho jata hai dil karata hai phir wahi hostel ho phir wahi college ho wahi classroom wahi lectures chahe ek din ke liye hi sahi ...i wish. Apne senioro se seekhe hue aur apne un college ke dino ke anubhavyo ka samavesh hai meri yeh kavita. Umeed hai aap logo ko pasand aayegi aur asha karta hoon aap log meri haushla afjaahi jaroor karenge vishestah woh saare log jo kabhi kisi na kisi ke senior rahe hai.



-------------------------------------------------------------------------

Senior’s ki dagar pe, juniors dikhao chal ke

college hai tumhara, kha jao isko tal ke,


Apni hi apni karna, na tum kisi se darna,

locha agar badhe to, peechhe se hum to hai na

Panga koi kare to, rakh do use masal ke,

College hai tumhara, kha jao isko tal ke


Koi agar chadhe to, tum uske upper chadhana

Chahe koi bana ho, na tum kisi se darana

Rakh doge ek din tum, management hi badal ke

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

‘Fine’ agar lage to, kabhi tum na usko bharna

Chahe pade hi kyoun na, college se nikalna

Mange manao apni, ghanghor strike kar ke

College hai tumhara kha jao isko tal ke


Jitney bhi maal dekho, har ek set kar lo

Koi villain bane to, tum usse fight kar lo

Jane na paye koi, tere haath se nikal ke

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

Na koi lecture jao, na koi notes banao

‘Internals’ ko maro goli, canteen me waqt bitao

Semester to paar hoga, ‘Himani’ prakashan padh ke,

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

Hamne kiya jo ab tak, tum aage usko karna

Na tum kisi se darna, aur chaude ho ke chalna

Tum soch lo abhi se, neta tum hi ho kal ke

College hai tumhara, kha jao isko tal ke

--copyright

Sanjeev shukla

29 Aug.2009

3 comments:

  1. Sir ji Great, kya nayi cheej nikali hai maja aa gaya, ab lag rha hai pravakta sir aas paas hi hai.....
    Its REALLY WONDERFUL

    ReplyDelete
  2. Thank you Prashant tum logo ki dua hai pravakta ka soya kavitav phir jag raha hai...ab se almost every month ek nai rachna padhne ko milegi...aur bahut jald in poems ka ek collection market me hoga...i need all the encouragement and best wishes from you people.

    ReplyDelete
  3. hahaha...awesome kavita bhai....keep it up..

    ReplyDelete